Tamanna e Dil by Junaid Jamshed

Shaanenabi Naat Lyrics

Sabaq phir padh sadaqat ka, adalat ka, shujaat ka
Liya jayega tujh se kaam duniya ki imamat ka

Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah
Tamanna muddaton se hai jamal-e-Mustafa dekhun

Imam-ul-ambiya dekun habib-e-kibriya dekhun
Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah

Wo jinke dam qadam se subah ne bhi roshni payi
Hawa ne jis se amber ki wo rahnuma dekhun

Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah
Bulandi ka nazara gumbad-e-khizra ki pasti me

Nazar neechi karun aur rifaton ka irtiqa dekhun
Mera dilbar madeene me hayat-e-jawedan pakar

Hijab-e-noor me mastoor hai wo dilruba dekhun
Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah

Qadam bahar madeene se tasawwur me madeena hai
Ilahi ya ilahi azmaton ki intehan dekhun

Ye duniya besubaat-o-be-wafa-o-ghum ka gehwara
Ye hai matloob daar-e-be-wafai me wafa dekun

Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah
Tajalli uth gayi shola bani faran ki choti se

Wo jiski roshni phaili wo shamm-e-kibriya dekhun
Wo shan-e-khalq do aalam darood un par salam un par

Mere maula ye mauqa de ke khatm-ul-ambiya dekun
Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah

Barahna pa barahna sar chalun is shahar-e-qooba me
Qarar-e-dil sukun-e-rooh zakhmon ki dawa dekhun

Kabhi wo husn ki mahfil kabhi wo shoq ka manzar
Kabhi ansoo ki zanjeeron me ashiq ki sada dekhun

Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah
Wo hi hai shafa-e-mahshar murad-e-mah habib-e-mah

Sukoon-e-qalb-e-muztar ambiya ka mubtada dekhun
Dar-e-jannat pe hazir hon rasool-e-paak ke hamrah

Shafaat ka ye manzar ya khudaya me raza dekhun
Tamanna-e-dil RasoolAllah Tamanna-e-dil habibAllah

Tamanna muddaton se hai jamal-e-Mustafa dekhun
Imam-ul-ambiya dekhun habib-e-kibriya dekhun

Tamanna-e-dil RasoolAllah
Tamanna-e-dil habibAllah

Post a Comment

0 Comments