Mujhe furqat me rah kar phir
Wo Mekkah yaad aata hai
Wo zam zam yaad aata
Hai wo kaba yaad aata hai
Pahan kar sirf do kapde
Mera wo cheekhte phirna
Wo koshish yaad aati hai
Wo nara yaad aata hai
Jahan jakar main sar rakhta
Jahan main hath phailata
Wo chaukhat yaad aati
Hai wo parda yaad aata hai
Kabhi wo daud kar chalna
Kabhi ruk ruk ke rah jana
Wo chalna yaad aata hai
Wo naksha yaad aata hai
Kabhi wahshat me aakar phir
Safa par jake chadh jana
Wo mas’a yaad aata hai
Wo marwa yaad aata hai
Kabhi chakkar lagana
Hajiyon ki saf me lad-bhadh kar
Wo dhakke yaad aate hain
Wo jhagda yaad aata hai
Kabhi phir unse hatkar
Dekhna kaabe ko hasrat se
Wo hasrat yaad aati hai
Wo kaba yaad aata hai
Kabhi jana min’a ko aur
Kabhi maidan-e-arfat ko
Wo majma yaad aata hai
Wo sehra yaad aata hai
Wo patthar marna shaitan ko
Takbeer padh padh kar
Wo ghogha yaad aata hai
Wo sauda yaad aata hai
Min’a me laut kar
Qurbani karna mera dumbe ko
Wo sunnat yaad aata hai
Wo fidiya yaad aata hai
Min’a se sar munda kar
Daud jana mera kabe ko
Wo ziyarat yaad aati hai
Wo jana yaad aata hai
Min’a me rahkar raton me
Duayen mangna mera
Wo naale yaad aate hain
Wo giriya yaad aata hai
Wo rukhsat ho ke mera
Dekhna kabe ko mud mud kar
Wo manzar yaad aata hai
Wo jalwa yaad aata hai
Mujhe furqat me rah kar phir
Wo Mekkah yaad aata hai
Wo zam zam yaad aata
Hai wo kaba yaad aata hai
0 Comments