Faslon Jo Takalluf by Qari Waheed Zafar Qasmi

Shaanenabi Naat Lyrics

Faslon ko takalluf Hai hum se agar
Hum bhi bey baas nahi bey sahara nahi
Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be bas nahi be sahara nahi

Khood unhi ko pukarein gay hum door se
Raste mein agar paon thak jayein gay

Hum madine mein tanha nikal jayein gay
Aur galyon mein qasdan bhathak jayein gay

Hum wahan jake wapis nahi aayein gay
Dhoondte Dhoondte log thak jayein gay

Jaise hi sabz gumbad nazar aaye ga
Bandagi ka qareenah badal jaye ga

Sar jhuka ne ki fursat mile gi kise
Khood hi palkon se sajde tapak jayein gay

Naam un ka jahan bhi lia jaye ga
Zikar un ka jahan bhi kia jaye ga
Naam un ka jahan bhi lia jaye ga
Zikar un ka jahan bhi kia jaye ga

Noor hi noor sinon mein bhr jaye ga
sari mehfil mein jalway lapak jayein gay

Aye madine ke zair khuda ke liye
Dastan e safar mujh ko yun mat suna
Aye madine ke zair khuda ke liye
Dastan e safar mujh ko yun mat suna

Baat barh jaye gi dil tarap jaye ga
Mere mohtaat aansoo jhalak jayein gay

Un ki chashm e karam ko hai is ki khabar
Kis musafir ko hai ketna shoq safar

Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili
Hum bhi aaqa ke darbar tak jayein gay

Fasalon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be bas nahi be sahara nahi
Faslon ko takalluf hai hum se agar
Hum bhi be bas nahi be sahara nahi

Khood unhi ko pukarein gay hum door se
Raste mein agar paon thak jayein gay

Post a Comment

0 Comments