Bula Lo Phir Mujhe by Owais Raza Qadri

Shaanenabi Naat Lyrics

Mere ansoo bohat kimati hain,
Inse wabasta hai, unki yaadein,
Inki manzil hai khak e Madina,
Yeh gohar yoonhi kaisay luta doon.

Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main
Main phir rota huwa aaoon, tere dar par Madine mein.

Mein pohnchoon koey jana mein, ghareeban chak seena chak
Gira day kash mujhko showk tarpa kar Madinay mein.

Mein unka deewana, Madinay mein bari shaan gaya
Chak dil, chak jigar, Chak ghareeban gaya.

Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah
Kabhi to apna bhi lag jaey ga bistar Madinay main.

Salaam-e-showq kehna hai jo mera bhi ro ro kar
Tumhe aae nazar jab roza e anwar Madinay mein.

Zahe muqaddar huzur-e-haq say salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.
Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.
Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptay se chor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hain lekin na subah aaya na shyam aaya.

Payame show lete jao mera kafila walo
Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main.

Paye tableegay sunnat Tu jahan rakay maghar ae kash
Main khwabon mein pahuncha hai rahoon aksar Madinay mein.

Madina is liye Attar jaan-o-dil say hai pyara
Key rehte hain meray Aaqa, meray dil bar Madinay main.

Na dowlat de nah showhrat dey, mujhe bas yeh shahadat day
Teray kadmo mein mar jaon, main ro ro kar Madinay main.

Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey
Sukoon aaya bas meraa dil-e-muztar Madinay main.

Wahan ik saas miljaye yehi hai zeest ka haasil
Vo kismet ka dhani hao jo gaya dam bhar Madiney mein.

Chalo chaukhat pe unki rak ke sar qurbaan ho jaye
Hayat e jaan vidaani paayengey mar kar Madinay mein.

Madina is liye Attar jaan-o-diil se hai pyara
Key rehte hain meray Aqa meray diil bar Madinay main.

Post a Comment

0 Comments