Hum ko bulana Ya Rasool Allah
Hum ko bulana Ya Habib Allah
Kabhi to sabz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge
Hamein bulwaein gay Aaqa madina hum bhi dekhein ge
Dhadak uthay ga ye dil ye dhadakne bhool jaye ga
Dil e bismil ka us dar par tamasha hum bhi dekhain ge
Adab say hath bandhay unkay rozay per kharay houn ge
Sunehri jaliyoon ka youn nazara hum bhi dekhein ge
Dar e dolat se lout aya nahi jata koi khali
Wahan khairat ka batna Khudaya hum bhi dekhein ge
Barasti gumbad e khazra se takrati hai bourdain
Vahan per shaan say barish barasna hum bhi dekhein ge
Guzaray raat din apne isi umeed pe hom nay
Kisi din to jamal e ruey zaiba hum bhi dekhein ge
Dam e rukhsat qadam maan bhar kay hein mehsoos kertay hain
Kisay hai jakay lout aanay ka yara hum bhi dekhein gae
Puhanch jayein gay jis din aie ujagar unkay qadmoon main
Kisay kehtay hain janat ka nazarah hum bhi dekhein ge
0 Comments