Hasbunallah Wanimal Wakil Naat by Atiq ur Rehman

Shaanenabi Naat Lyrics

Allah Allah Allah

Allah Allah Allah


Tanha hun main aur imtehan

Lakhon tanen hain saamne

Baitha hun main mayoos kun

Aaye na koi mujhe thaamne

Allah Allah, Tu meri sunle sada


Hasbunallah wanimal wakil

Naimal maula wanimal nasir


Maayun hun, Tera karam

Pardah rakha, izzat bhi di

Badhke diya auqat se

Daulat bhi taqat bhi aur waqt bhi

Karde khata har maaf tu

Fahrist esiyan ko chhor de

Allah Allah, Tu meri sunle sada


Hasbunallah wanimal wakil

Naimal maula wanimal nasir


Rangeenyion khudgharziyon

Me hain guzari ye umar

Hai aarzu bas ek yahi

Kardun tere naam shaam-o-sehar

Taskeen-e-dil hasil karun

Rukh apni janib tu mod de

Allah Allah, Tu meri sunle sada


Hasbunallah wanimal wakil

Naimal maula wanimal nasir


Lab pe rahe zikr-o-dua

Aur tujhse main darta rahun

Karke amal Quran pe

Jannat ki rahon pe chalta rahun

Khidmat karun Islam ki

Pacchhtawe ka gham tod de

Allah Allah, Tu meri sunle sada


Hasbunallah wanimal wakil

Naimal maula wanimal nasir


Rota raha sajdon me jo

Dil me liye ummat ka gham

Padhta rahun main tohfatan

Apne nabi (saw) par darood har qadam

Ho rooh jab tan se juda

Jannat ki janib chale daud kar

Allah Allah, Tu meri sunle sada


Hasbunallah wanimal wakil

Naimal maula wanimal nasir

Post a Comment

0 Comments