Main To Jannati Hun Naat by Syed Yasir Soharwardi

Shaanenabi Naat Lyrics

Main to jannati hun ae shah-e-umam

Kar di tumne Aaqa (saw) ye nazre karam


Gham ke andheron ne ghera hua tha

Aaqa dushwar mera jeena hua tha


Bigdi bana di tumne taiba ke wali

Nabiyon ke nabi teri shan hai nirali


Main to jannati hun ae shah-e-umam

Kar di tumne Aaqa (saw) ye nazre karam


Saaz-o-sujoor ki duniya me tha bahut aage

Dil ko badal kar chhor di sari wo raahen


Phir bhi tadpaya gaya kehun Bilali

Nabiyon ke nabi teri shan hain nirali


Main to jannati hun ae shah-e-umam

Kar di tumne Aaqa (saw) ye nazre karam


Jisko bulaya gaya wohi ‘arsh-e-bareen hain

Aap ke siwa aisa koi nahin hai


Jiski na baat koi rab ne bhi tali

Nabiyon ke nabi teri shan hai nirali


Main to jannati hun ae shah-e-umam

Kar di tumne Aaqa (saw) ye nazre karam


Maine kaha tha ke farishton unko khabar de do

Mere Nabi (saw) ko mera qalb-o-jigar de do


Tune Junaid karke kar diya ghazali

Nabiyon ke nabi teri shan hai nirali


Main to jannati hun ae shah-e-umam

Kar di tumne Aaqa (saw) ye nazre karam


Aaqa wale khayenge na kabhi ye dhoka

Aap jaisa koi hua hai na koi bhi hoga


Rab ke habeeb teri zaat hai misali

Nabiyon ke nabi teri shan hai nirali


Main to jannati hun ae shah-e-umam

Kar di tumne Aaqa (saw) ye nazre karam


Aaqa wale tum the Junaid na kabhi khaya dhoka

Aap jaisa koi tha aur na koi hoga


Aaqa ke Junaid ke Junaid ki shahadat hai misali

Nabiyon ke nabi teri shan hai nirali


Main to jannati hun ae shah-e-umam

Kar di tumne Aaqa (saw) ye nazre karam

Post a Comment

0 Comments