Mujh pay bhi chashme karam by Syed Ikram Akbar Bukhari

Shaanenabi Naat Lyrics

Mujh pay bhi chashme karam aay meray aaqa karna

Haq to mera bhe hay rehmat ka taqaza kerna.

Ye tera kam hay aay aamna kay dure yateem

Sari ummat ki shafaat tan e tanha karna

Chand ki tarha teray gird woo tarun ka hujum

Wo tera halqa e ashab main betha karna.

Mujh pay mahshar main naseer unki nazar par hi gai

Kahnay walay isay kahtay hain khuda ka karna.

Too kisi ko b uthata nhn apnay dar say

Kay teri shan k shayan nhn aisa karna.

Main hun be kas tera shewa hay sahara dena

Main hun beemar tera kam hay acha karna.

Post a Comment

0 Comments