Duniya Ke Aye Musafir by Junaid Jamshed

Shaanenabi Naat Lyrics

Duniya ke aye musafir
Manzil teri qabar hai

Tay kar raha he jo tu
Do din ka ye safar he

Dunya bani he jab se
Laakhon karoro aaye

Baaqi raha na koi
Mitti mein sab samaaye

Is baat ko na bhulo
Sab ka yahi hashr he

Duniya ke aye musafir
Manzil teri qabar hai

Aankho se tu ne apni
Kitne janaaze dekhe

Haathow se tu ne apne
Dafnaaye kitne murday

Anjaam se tu apne
Kyun itna bekhabar he

Duniya ke aye musafir
Manzil teri qabar hai

Makhmal pe sonay waale
Mitti mein so rahe he

Shaaho gada barabar
Ek saath so rahe he

Dono huwe baraaber
Yahi maut ka asar he

Duniya ke aye musafir
Manzil teri qabar hai

Ye aali-shaan bunglay
Kuch kaam ke nahi he

Ye oonchi oonchi imaarat
Kuch kaam ki nahi he

Do gaz zameen ka tukra
Chota sa tera ghar he

Duniya ke aye musafir
Manzil teri qabar hai

Mitti ke putle tujh ko
Mitti mein he sumaana

Ek din he tu ke aaya
Ek din he tujh ko jaana

Rehna nahi he tujh ko
Jaari tera safar he

Duniya ke aye musafir
Manzil teri qabar hai

Post a Comment

0 Comments