Ki Mohammad (saw) se wafa tune to ham tere hain
Ye jahan cheez hai kya lauh-o-qalam tere hain
Ham se pahle tha ajab tere jahan ka manzar
Kahin masjood the patthar kahain m'abood shajar
Khugar-e-Paikar-e-Mahsoos thi insan ki nazar
Manta phir koi andekhe khuda ki kyun kar
Tujh ko maloom hai leta tha koi naam tera
Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim ne kiya kaam tera
Ham to mayel ba karam hain ko sayel hi nahin
Raah dikhlayen kise rahr-e-manzil hi nahin
Tarbiyat aam to hai johar-e-qabil hi nahin
Jisse t'ameer ho Adam ki ye wo gil hi nahin
Koi qabil ho to ham shan-e-kayi dete hain
Dhundhne walon ko duniya bhi nai dete hain
Ki Mohammad (saw) se wafa tune to ham tere hain
Ye jahan cheez hai kya lauh-o-qalam tere hain
Then hame ek tere marka-araon me
Khushkiyon me kabhi ladte kabhi dariyaon me
Din azane Europe ke kalisaaon me
Kabhi Africa ke tapte huye sehraaon me
Shan aankhon me na jachti thi jahan-daron ki
Kalmah padhte then ham chhaaon me talwaron ki
Manf'at ek hai is qaum ki nuqsan bhi ek
Ek hi sab ka Nabi deen bhi imaan bhi ek
Haram paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek
Kuchh badi baat thi hote jo musalman bhi ek
Firqah bandi hai kahin aur zaate hain
Kya zamane me panapne ki yehi baaten hain
Ki Mohammad (saw) se wafa tune to ham tere hain
Ye jahan cheez hai kya lauh-o-qalam tere hain
Ummaten aur bhi hain un me gunahgar bhi hain
'Ajr wale bhi hain mast maye pindar bhi hain
In me kahil bhi ghafil bhi hain hoshiyar bhi hain
Sainkdon hain ke tere naam se bezar bhi hain
Rahmaten hain tari aghyar ke kashanon par
Barq karti hai tu bechare musalmanon par
Shor hai ho gaye duniya se musalman nabood
Ham ye kehte hain ke the bhi kahin muslim maujood
Waz'a me tum ho nasara to tamaddun me hanood
Ye musalman hain jinhen dekh ke sharmaye yahood
Yun to sayyad bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho
Tum sabhi kuchh ho bataao musalman bhi ho
Ki Mohammad (saw) se wafa tune to ham tere hain
Ye jahan cheez hai kya lauh-o-qalam tere hain
0 Comments