Dare sarkaar pe ja kar

Shaanenabi Naat Lyrics

Dare sarkaar pe ja kar, khatayen bool jaati hain
haseen dunya ke sab manzar nigahein bhool jaati hain

mile jo bkeek aaqa ke, dare doulat se magtoun ko
to shaahane zamaana ki, sakhayein bhool jaati hain

jo saayil mohsine azam ke ehsaa’n yaad rakhte hain
unhein sab taajdaroun ki ataayen bool jaati hain

jo chumein naqshepa unke suroor-e-qalb milta hai
ho nikli’n dard mein jitni wo aahein bool jaati hain

chupaalete’n hai jisko bi mere sarkaar daman mein
usse aaghoshemadar ki panahein bool jaati hain

bassaaho nazar mein jiski, rukhe mahboob ka jalwa
usse shamso qamar ki sab, ziyaein bhool jaati hai

mein dekhoun apne jurmo ko, to dil Mera dahal jay
jo rehmat unki yaad aye, sazayein bool jaati hai

suno mein naat jab ahmad shab-e-asra ki dulha ki
mujhe ab yaar ki sifto sanayein bool jaati hain

Post a Comment

0 Comments